kya tumhain khabar nahin?     

 

kya tumhain khabar nahin

abhi abhi hamara janaza niklna hai

aur tum yahan aye ho haath phailai

bhai, hamarai paas ab kuch bhi tau nahin hai dainai ko

sab chin gaya,

woh din gaya

jab logon ki hum

madad kiya kartai thay.

Siraf khuda sai dartai thai.

Ab khauf hamarai wajood main rach gaya hai

Aur hamara iman kuch chatt gaya hai

bass kaya aisai palti,

kai hum aik mazak bann gaye

shayad tum nai hamara lateefa nahin suna

suntai tau hanstai

aur yahan na aatai

khud hi samajh jatai.